Happy Birthday, Janeman!
Happy 24th Birthday Meri Janeman, Meri Jaan, Meri Pasandeeda Aurat, Meri Pyari Behen! π₯Ήπβ€οΈπ«Άπ» Allah Pak tumhari zindagi ko hamesha khushiyon, sukoon, mohabbat aur barkaton se bhar de. Ameen. π€²π»π Tum sirf meri behen nahi ho, tum meri khushi, meri muskurahat aur meri zindagi ki sabse pyari aurton mein se ek ho. π₯Ήπ Main Allah se dua karti hoon ke tumhari aankhon mein kabhi aansu na aayein siwaye khushi ke, tumhara dil hamesha khush rahe aur tumhari har jaiz dua qabool ho. β€οΈβ¨ Tumhari zindagi ka yeh naya saal tumhare liye bohat saari khushiyan, kamyabiyan aur khoobsurat yaadein lekar aaye. Meri Janeman, tum hamesha aise hi hansti muskurati raho, kyun ke tumhari khushi mere liye bohat maayne rakhti hai. π«π Kaash main tumhein bata sakun ke main tumse kitna pyaar karti hoon, lekin kuch rishte lafzon se nahi, dil se mehsoos kiye jaate hain. π₯Ήβ€οΈ Allah tumhein har buri nazar se bachaye, tumhari qismat khoobsurat kare aur tumhein duniya aur aakhirat ki har bhalai naseeb farmaye. Ameen summa ameen. π€²π»π¦ Happy Birthday meri jaan! Tum meri aaj bhi favourite ho, kal bhi rahogi aur hamesha rahogi. I LOVE YOU SO MUCH MERI JANEMAN! π₯Ήππβ€οΈβπ©Ή
Birthday Wishes
Add Your Wishes